tgoop.com/onepathtopeace/8797
Last Update:
Surah Al Baqarah 286
286. Allah kisi mutanaffis par uski maqdarat (taaqat) se badhkar zimmedaari ka boojh nahin daalta, har shaks ne jo neki kamayi hai uska phal usi ke liye hai aur jo badhi sameti hai uska wabaal usi par hai, (Iman laane walon! Tum yun dua kiya karo) aey hamare Rubb! Humse bhool chuk mein jo kasoor ho jayein unpar giraft na kar, Maalik! Humpar woh boojh na daal jo tu ne humse pehle logon par daale thay. Parwardigaar ! Jis baar ko uthane ki taaqat hum mein nahin hai woh humpar na rakh, hamare saath narmi kar, humse darguzar farma, humpar reham kar, tu hamara maula hai, kafiron ke muqable mein hamari madad kar.
๐๐๐๐๐๐๐๐
Ibn al-Qayyim said:
โWhen the veil has been lifted on the day of judgement revealing the value of good deeds for the people they'll not see any action better in reward than the remembrance of Allฤh (Dhikr).At that time a group of people who'll sigh because they missed out and say:
There was nothing easier for us than dhikr and yet we did not do it.โ
[al-Waabil al-Sayyib]
BY 1Path2Peace Foundation
Share with your friend now:
tgoop.com/onepathtopeace/8797